Gusse mein bola hua ek kadhor shabd itna zehreela ban sakta hai ki aapki hazaar pyaari baaton ko ek minute mein nasht kar sakta hai!!
Sadaiv yeh socho ki hamare jaisa khushnaseeb koi nahi, na koi hua hai aur na hoga…to sada khushi imein ghoomte rahenge…
Dard na hota to khushi ki keemat na hoti…agar chahne se mil jaata sab kuch duniya mein to upar waale ki zaroorat na hoti…
Ajeeb chalan hai duniya ka, deewaron mein aaye darar to deewarein gir jaati hain…par rishte mein aaye daraar to deewarein khadi ho jaati hain…
Itna magroor mat ban aye insaan, mujhe waqt kehte hain, maine kai baadshaaon ko darbaan banaya hai…
Ek vicharak ne kaha ki manushya mein dhairya ho to badi se badi samasya ka samadhaan ho sakta hai…Vyakti ne prati prashna kiya ki kya dhairya se aap chalni mein paani ko tehra sakte ho…kya ye sambhag hai?? Vicharak ka jawab tha ki paani ko barf banne tak ka tum mein dhairya hoga to yeh bhi sambhav hai…
Manushya ko uske krodh ki saza nahi milegi par uska krodh hi saza dega…Mahatma Budh…
Yun gareeb kehkar khud ki tauheen na kar aye bande…gareeb to wo log hain jinke paas imaan nahi hai…
Rishte hote hain motion ki tarah…koi gir bhi jaaye to jhuk ke utha lena chahiye…
Har gunaah kabool hai humein…bas saja dene wala begunaah ho…
Jeewan mein jag se jhooti aas lagaye baithe hain…na saath aaya hai, na aayega…khud ko moh-maya mein fasaye baithe hain…dikha to raah mere satguru khud ko bahtkaye baithe hain…kar do naam deewana satguru ab tujh se hi aas lagaye baithe hain…
Jeewan mein yehi dekhna mahatwapurna nahi ki kaun humse aage hai ya kaun peechay…yeh bhi dekhna chahiye ki kaun hamare saath hai aur hum kiske saath…judna badi baat nahi, jude rehna bahut badi baat hai…
Chale jayenge tujhe tere haal par chhodkar, kadar kya hoti hai ye tujhe waqt sikhayega…
Kabhi usko nazar andaaz na karo jo tumhaari bahut parwah karta ho, warna kisi din tumhe ehsaas hoti ke pathhar jama karte karte tumne heera gawa diya!
Paani se pyaas na bujhi to maikhane ki taraf chal nikla socha shikayat karoon teri khuda se par khuda bhi tera aashique nikla…
Na jaane kaun mere haq mein dua padta hai…doobta bhi hoon to samundar uchaal deta hai…
Saccha wyakti ni to naastik hota hai…na hi aastik hota hai…Saccha wyakti har samay vastavik hota hai…
Log manzil ko mushkil samajhte hain, hum mushkil to manzil samajhte hain…Bada fark hai logon mein aur hum mein, log zindagi ho dost aur hum dost ko zindagi samajhte hain…
Nadi jab kinara chhod deti hai, raah mein chattan tak tod deti hai…Baat choti si agar chubh jaaye dil mein, zindagi ke raaston ko bhi mod deti hai…
Aadmi ke shabd nahi bolte…Uska waqt bolta hai…
Agar insaan siksha ke pehle sanskaar, vypaar se pehle vyavhaar, bhagwaan se pehle mata pita ko pehchaan le to zindagi mein kabhi koi kathinai nahi aayegi…
Rishte aur vishwas dono hi dost hain…Rishta rakho ya na rakho par vishwas jaroor rakhna…Kyonki jahan vishwas hota hai wahan rishte apne aap panap jaate hain…